Posts

Showing posts from June, 2018

Ye Kaisa Apna Ye... Nazm... (Meri Kalam Se...)

Image
***नज़्म*** ---ये कैसा अपना ये--- ये कैसा ख्याल दिल में बसा लिया है मैंने न पूरा हो सका तो मैं खुद भी आधा अधूरा ही रह जाऊंगा इस ख्याल में कोशिशें तो पूरी रहेगी आखिर तक ही सुहैल तू अपने को पहला और आखिरी मौका ला कर तो देख नहीं तो सब कहेगे क्या था और क्या हाल है बना लिया अपना ये | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ***Nazm*** ---Ye Kaisa Apna Ye--- Ye Kaisa Khayal Dil Me Basa Liya Hai Maine Na Poora Ho Saka To Main Khud Bhi Aadha Adhura Hi Reh Jaunga Is Khayal Me Koshishein To Poori Rahegi Aakhir Tak Hi Suhail Tu Apne Ko Pehla Aur Aakhiri Mauka La Kar To Dekh Nahi To Sab Kahege Kya Tha Aur Kya Haal Hai Bana Liya Apna Ye. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Maine Bhar Paya... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मैंने भर पाया--- मैंने मौसम को थोड़ा नरम पाया है तेरे मिजाज़ का भी रुख कहाँ भर पाया है | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Maine Bhar Paya--- Maine Mausam Ko Thoda Narm Paya Hai Tere Mijaaz Ka Bhi Rukh Kahan Bhar Paya Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Tere Bina Ho... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---तेरे बिना हो--- तेरे बिना जो जिया मैं एक एक पल एक एक लम्हा ऐसे जैसे की मुद्दतों का सफर हो साथ में | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Tere Bina Ho--- Tere Bina Jo Jiya Main Ek Ek Pal Ek Ek Lamha Aise Jaise Ki Muddaton Ka Safar Ho Saath Me. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com 

Ishq To Hota Hai... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---इश्क़ तो होता है--- इश्क़ तो बे-बाक बातों का फितूर होता है फ़िक्र करो तब भी और फ़िक्र न करो तब भी इश्क़ बे-बाक होता है | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Ishq To Hota Hai--- Ishq To Be-Baak Baaton Ka fitoor Hota Hai Fikr Karo Tab Bhi Aur fikr Na Karo Tab Bhi Ishq Be-Baak Hota Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Mushkilon Tere Hawaale... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मुश्किलों तेरे हवाले--- मुश्किलों वाले आज और कल वाले हम हुए तेरे हवाले | मेरी कलम से...  -------------- -------------- ---Mushkilon Tere Hawaale--- Mushkilon Waale Aaj Aur Kal Waale Hum Huye Tere Hawaale. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Main Aane Ka... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मैं आने का--- मैं तेरी गली से गुज़रा आज बड़ी मुद्दतों के बाद देखा तो वही अन्दाज़ था तेरा यूँ आने का | मेरी  कलम से...  ---------------- ---------------- ---Main Aane Ka--- Main Teri Gali Se Guzra Aaj Badi Muddaton Ke Baad Dekha To Wahi Andaaz Tha Tera Yun Aane Ka. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Sharafat... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---शराफत--- मेरी शराफत रही वरना उल्फत में तो हम भी तुम्हे ढकेल सकते थे | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Sharafat--- Meri Sharafat Rahi Warna Ulfat Me To Hum Bhi Tumhe Dhakel Sakte The. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Bachpan Ke Woh Khel... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---बचपन के वह खेल--- बचपन के वह खेल याद आते है खूब जब उस वक़्त न दिन का पता न रात का पता लग पाया था खेल-खेल में पर हाँ आज भी याद है बचपन के वह खेल बचपन के वह खेल | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Bachpan Ke Woh Khel--- Bachpan Ke Woh Khel Yaad Aate Hai Khoob Jab Us Waqt Na Din Ka Pata Na Raat Ka Pata Lag Paya Tha Khel-Khel Me Par Haan Aaj Bhi Yaad Hai Bachpan Ke Woh Khel Bachpan Ke Woh Khel. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Paani Ke Mutabiq... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---पानी के मुताबिक़--- पानी भरा गिलास देख कर जाना यह इतना अनमोल होते हुए भी कैद है जरुरत के मुताबिक़ | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Paani Ke Mutabiq--- Paani Bhara Gilaas Dekh Kar Jana Yeh Itna Anmol Hote Huye Bhi Kaid Hai Jarurat Ke Mutabiq. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Ek Aur... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---एक ओर--- एक तेरी आदत से रूबरू हुआ जब मैं उठा तेरी महफिल से अपनी तन्हाई की ओर | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Ek Aur--- Ek Teri Aadat Se Rubru Hua Jab Main Utha Teri Mehfil Se Apni Tanhai Ki Aur. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Umeed Behaal... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---उम्मीद बेहाल--- उम्मीद भरी निगाह से यूँ देखना तेरा मुझे कर गया बेहाल सा | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Umeed Behaal--- Umeed Bhari Nigaah Se Yun Dekhna Tera Mujhe Kar Gaya Behaal Sa. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Mayssar Se Lamhein Me... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मयस्सर से लम्हें में--- इस मयस्सर से लम्हात को पाना कितना मुश्किल है इस मायूसी भरे लम्हें में | मेरी कलम से... --------------- --------------- ---Mayssar Se Lamhein Me--- Is Mayssar Se Lamhaat Ko Paana Kitna Mushkil Hai Is Mayusi Bhare Lamhein Me Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Waqt Baaqi Hai... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---वक़्त बाक़ी है--- वक़्त-बेवक़्त की ढलती शाम की जब याद आती है तो पता नहीं लगता की अभी और शाम बाक़ी है | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Waqt Baaqi--- Waqt-BeWaqt Ki Dhalti Shaam Ki Jab Yaad Aati Hai To Pata Nahi Lagta Ki Abhi Aur Shaam Baaqi Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Gar Galti Kya... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---गर गलती क्या--- गर गलती रही हमारी तो निगाह नीचे होगी गर नहीं हुई गलती तो हमारी आँखों में आँखें डालकर बात करेंगे हमारी-तुम्हारी हम्म ! समझे क्या- मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Gar Galti Kya--- Gar Galti Rahi Humari To Nigaah Neeche Hogi Gar Nahi Huyi Galti To Humari Aankhon Me Aankhein Daalkar Baat Karege Humari-Tumhari Hmm! Samjhe Kya- Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Muddaton Me Basaate... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मुद्दतों में  बसाते--- मुद्दतों का सफर रहा साथ सुहैल वरना हम भी सफर की चाहत को दिल में बसाते | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Muddaton Me Basaate--- Muddaton Ka Safar Raha Saath Suhail Warna Hum Bhi Safar Ki Chahat Ko Dil Me Basaate. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Is Qadr Milte Bhi... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---इस कद्र मिलते भी---  इस कद्र तसल्ली थी कि मैं रुकते-रुकते भी रुक न सका अपने पन से मैं मिलते-मिलते भी | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Is Kadr Milte Bhi--- Is Kadr Tasalli Thi Ki Main Rukte-Rukte Bhi Ruk Na Saka Apne Pan Se Main Milte-Milte Bhi. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Kamaane Ka Hunar... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---कमाने का हुनर--- एक रात का ख्याल ही मुझे इस मुकाम तक लाया कि मैंने सीखा अपने फन को कमाने का हुनर |  मेरी कलम से...  ---------------- ---------------- ---Kamaane Ka Hunar--- Ek Raat Ka Khayal Hi Mujhe Is Mukaam Tak Laya Ki Maine Seekha Apne Fan Ko Kamaane Ka Hunar. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Ik Tarfa Ke Baad... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---इक तरफा के बाद--- इक तरफा रही उम्मीद तेरी पर भी मैं मुकम्मल हुआ सारे के सारे हादसों के बाद | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Ik Tarfa Ke Baad--- Ik Tarfa Rahi Umeed Teri Par Bhi Main Mukammal Hua Saare Ke Saare Haadson Ke Baad. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Main Aksar Jo Sukoon Tha... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मैं अक्सर जो सुकून था--- मैं अक्सर जो तुझे देखते ही देखते खामोश नज़रों को तेरी समझते ही समझते खामोश नज़रों को तेरी मानता था अपना-सा होने का मुकम्मल नज़रों का नजरिया ये मेरा सुकून था | मेरी कलम से--- ---------------- ---------------- ---Main Aksar Jo Sukoon Tha--- Main Aksar Jo Tujhe Dekhte Hi Dekhte Khamosh Nazaron Ko Teri Samjhte Hi Samjhte Khamosh Nazaron Ko Teri Maanta Tha Apna-Sa Hone Ka Mukammal Nazaron Ka Nazariya Ye Mera Sukoon Tha. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Ishq Hai Inkaar Hai... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---इश्क़ है इन्कार है--- इश्क़ है तो इज़हार होना चाहिए इन्कार है तो इकरार होना चाहिए | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Ishq Hai Inkaar Hai--- Ishq Hai To Izhaar Hona Chahiye Inkaar Hai To Ikraar Hona Chahiye. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Tujhe Dekhkar Teri Khushmijaazi Ka... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---तुझे देखकर तेरी खुशमिजाज़ी का--- तुझे देखकर जो मुस्कुराये थे लब मेरे तो लबों की लज्ज़त ने मेरी इक भी न सुनी और अपने मुस्कुराते हुए लबों से इज़हार कर दिया तेरी खुशमिजाज़ी का | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Tujhe Dekhkar Teri Khushmijaazi Ka--- Tujhe Dekhkar Jo Muskuraye The Lab Mere To Labon Ki Lajzat Ne Meri Ik Bhi Na Suni Aur Apne Muskuraate Huye Labon Se Izhaar Kar Diya Teri Khushmijaazi Ka. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Sawar Jaye Aakhirat Meri... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---संवर जाये आखिरत मेरी--- ऐ रज़ा-ए-मुहम्मद ऐ रज़ा-ए-मुहब्बत मेरे किरदार को भी अखलाक दे दे जो संवर जाये आखिरत मेरी | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Sanwar Jaye Aakhirat Meri--- Ae Raza-E-Muhammad Ae Raza-E-Muhabbat Mere Kirdar Ko Bhi Akhlaak De De Jo Sanwar Jaye Aakhirat Meri. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Itni Baaqi... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---इतनी बाक़ी--- इतनी पाकीज़ा-सी चाहत थी मेरी तुझे देखकर ही गुज़ार लेता दिन बाक़ी | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Itni Baaqi--- Itni Pakiza-Si Chahat Thi Meri Tujhe Dekhkar Hi Guzaar Leta Din Baaqi. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Main Jis Nazar Se Dile Sukoon Aa Jaye... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मैं जिस नज़र से दिले सुकून आ जाये--- मैं जिस नज़र से देखकर तुझको हँसता हूँ ऐ वतन ये मेरी नज़रे मोहब्बत है इस नज़रे मोहब्बत को देखकर अब तू भी ज़रा-सा हँस दे तो आखिर मेरे दिल को दिले सुकून आ जाये | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Main Jis Nazar Se Dile Sukoon Aa Jaye--- Main Jis Nazar Se Dekhkar Tujhko Hansta Hun Ae Watan Ye Meri Nazare Mohabbat Hai Is Nazare Mohabbat Ko Dekhkar Ab Tu Bhi Zara-Sa Hans De To Aakhir Mere Dil Ko Dile Sukoon Aa Jaye. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Na Raat Na Din... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---न रात न दिन--- न रात को रात समझते है न दिन को दिन समझते है तेरी मुखालफत के यूँ आम चर्चे है | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Na Raat Na Din--- Na Raat Ko Raat Samjhte Hai Na Din Ko Din Samjhte Hai Teri Mukhaalfat Ke Yun Aam Charche Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Baat Hi Aisi Hai... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---बात ही ऐसी है--- बात ही बात से मुकर कर करोगे        क्या बात तो बिगड़ी ही ऐसी है | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Baat Hi Aisi Hai--- Baat Hi Baat Se Mukar Kar Karoge             Kya Baat To Bigdi Hi Aisi Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Maine Intezaar Ke Baad... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मैंने इन्तेज़ार के बाद--- मैंने तुमको कह दिया अपना सब्रे इन्तेहा इस मुस्तर से इन्तेज़ार के बाद | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Maine Intezaar Ke Baad--- Maine Tumko Keh Diya Apna Sabre Inteha Is Mustar Se Intezaar Ke Baad. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Guzarish Hai Meri Samjh Bhi To Lo... Ghazal... (Meri Kalam Se...)

Image
***ग़ज़ल*** ---गुज़ारिश है मेरी समझ भी तो लो--- गुज़ारिश है मेरी तुम न मिलो तो यही बात मेरी तुम समझ भी तो लो मेरा मिलना तेरा वादा नहीं है तेरा मिलना मेरा वादा नहीं है वादे का वादा तो होता  नहीं है वादा तो वादे का होता नहीं है गुज़ारिश है मेरी तुम न मिलो तो यही बात मेरी तुम समझ भी तो लो मैं कह रहा हूँ बड़ी देर से ये ये बड़ी देर से तुम सुन भी रही हो हो रही भी सुन तुम ये नहीं पता है है नहीं पता ये तुम क्या कर रही हो गुज़ारिश है मेरी तुम न मिलो तो यही बात मेरी तुम समझ भी तो लो | मेरी कलम से...                    *********** ***Ghazal*** ---Guzarish Hai Meri Samjh Bhi To Lo--- Guzarish Hai Meri Tum Na Milo To Yahi Baat Meri Tum Samjh Bhi To Lo Mera Milna Tera Waada Nahi Hai Tera Milna Mera Waada Nahi Hai Waade Ka Waada To Hota Nahi Hai Waada to Waade Ka Hota Nahi Hai Guzarish Hai Meri Tum Na Na Milo To Yahi Baat Meri Tum Samjh Bhi To Lo Main Keh Raha Hun Badi Der Se Ye Ye Badi Der Se Tum Sun Bhi Rahi Ho Ho Rahi Bhi Sun Tum Te Nahi Pata Hai Hai Nahi Pata Ye Tum

Raaton Ke Bahaane... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---रातों के बहाने--- रातों को राहत न समझो ये खुदा का दिया हुआ एक मौका है जिसमें इबादत कर थोड़ी भी तो रात को उठ-उठ कर बेशक जाया नहीं जाएगी और खुदा का शुक्र भी अदा हो पायेगा इबादत के बहाने | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Raaton Ke Bahaane--- Raaton Ka Rahat Na Samjho Ye Khuda Ka Diya Hua Ek Mauka Hai Jisme Ibadat Kar Thodi Bhi To Raat Ko Uth-Uth Kar Beshaq Jaya Nahi Jaayegi Aur Khuda Ka Shukr Bhi Adaa  Ho Paayega Ibadadt Ke Bahaane. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Fikr Bhi Teri... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---फ़िक्र भी तेरी--- फ़िक्र होती है मुझे भी तेरी ऐ साथ बिताने वाले तेरे लम्हें की भी पर फ़िक्र होती है मुझे भी तेरी | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Fikr Bhi Teri--- Fikr Hoti Hai Mujhe Bhi Teri Ae Saath Bitaane Waale Tere Lamhein Ki Bhi Par Fikr Hoti Hai Mujhe Bhi Teri. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Be-Karar Ko Bhool Ja... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---बे-करार का भूल जा--- बे-करार रह युहीं तू अपनी बे-करारी न बढ़ा इस लम्हें में इस लम्हें से आगे बढ़ बे-करारी को भूल जा | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Be-Karar Ko Bhool Ja--- Be-Karar Reh Yunhin Tu Apni Be-Karari Na Badha Is Lamhein Me Is Lamhein Se Aage Badh Be-Karari Ko Bhool Ja. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Aankhein Na Pa Saki... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---आँखें न पा सकी--- आँखें मेरी कुछ कहना चाहती है रात भर ये कुछ सुकून न पा सकी यूँ इन में मलाल-सा है जैसी रोयीं हो रात भर ये कुछ सुकून न पा सकी आँखें मेरी कुछ कहना चाहती है रात भर ये सोना पायीं कुछ ख्याल में कुछ इन्तेज़ार में यूँ इन में लाल-लाल खून-सा है आँखें मेरी कुछ कहना चाहती है रात भर ये कुछ सुकून न पा सकी | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Aankhein Na Pa Saki--- Aankhein Meri Kuch Kehna Chahti Hai Raat Bhar Ye Kuch Sukoon Na Pa Saki Yun In Me Malaal-Sa Hai Jaisi Royi Ho Raat Bhar Ye Kuch Sukoon Na Pa Saki Aankhein Meri Kuch Kehna Chahti Hai Raat Bhar Ye Sona Paayi Kuch Khayal Me Kuch Intezaar Me Yun In Me Laal-Laal Khoon-Sa Hai Aankhein Meri Kuch Kehna Chahti Hai Raat Bhar Ye Kuch Sukoon Na Pa Saki. Meri Kalam Se... By- Suahail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Hunar Hai... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---हुनर है--- हुनर-ए-अख़लाक़ है तेरे पास ऐ इन्सान तो दुनिया भी जीतना तेरा कोई मुश्किल नहीं है | मेरी कलम से...  -------------- -------------- ---Hunar Hai--- Hunar-E-Akhlaak Hai Tere Paas Ae Insaan To Duniya Bhi Jeetna Tera Koi Mushkil Nahi Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Main Ghar Hone Ka... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मैं घर होने का--- मैं घर की दीवार को देखता हूँ तो तसब्बुर सा होता है मुझे अपने घर होने का | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Main Ghar Hone Ka--- Main Ghar Ki Dewaar Ko Dekhta Hun To Tasabbur Sa Hota Hai Mujhe Apne Ghar Hone Ka. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Mehram To Azeem Hai... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मेहरम तो अजीम है--- मेहरम-ए-दस्तयाब है ज़िन्दगी मेहकशी के चलते इन किताबी पन्नों के मायने भी बड़े अजीब है रहबर भी है तो अजीम है | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Mehram To Azeem Hai--- Mehram-E-Dastyaab Hai Zindagi Mehkashi Ke Chalte In Kitaabi Panno Ke Maaine Bhi Bade Ajeeb Hai Rehber Bhi Hai To Azeem Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Ik Nishaan Ke... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---इक निशान के--- इक तरफ सफा है लम्बी कतार की दुनिया में माहौल अफजल हो बे निशानी निशान के | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Ik Nishaan Ke--- Ik Taraf Safa Hai Lambi Kataar Ki Duniya Me Mahaul Afjal Ho Be Nishaani Nishaan Ke. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Mutabiq Jaisi Hai... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मुताबिक़ जैसी है--- मुताबिक़ इसके की मैं सब्र करूँ इस बात की ये बात भुलाने जैसी है | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Mutabiq Jaisi Hai--- Mutabiq Iske Ki Main Sabr Karun Is Baat Ki Ye Baat Bhulaane Jaisi Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Main Tujhe Kya Kahun... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मैं तुझे क्या कहूँ--- मैं तुझे क्या कहूँ ऐ ज़िन्दगी सितम करने है तो तुझे इतने कर पर चैन से मुझे मरने देना नहीं तो मैं तुझे क्या कहूँ ऐ ज़िन्दगी सितम करने है तो बरहक़ कर पर मैं तुझे क्या कहूँ ऐ ज़िन्दगी सितम करने है तो सितम करने बन्द कर | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Main Tujhe Kya Kahun--- Main Tujhe Kya Kahun Ae Zindagi Sitam Karne Hai To Tujhe Itne Kar Par Chain Se Mujhe Marne Dena Nahi To Main Tujhe Kya Kahun Ae Zindagi Sitam Karne Hai To Sitam Karne Band Kar. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Ek Waqt... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---एक वक़्त--- एक वक़्त था जब बिस्तर पे लैटते ही नींद आती थी अब तो झपकी भी आती है तो नींद नहीं आती | मेरी कलम से...  -------------- -------------- ---Ek Waqt--- Ek Waqt Tha Jab Bister Pe Laytte Hi Neend Aati Thi Ab To Jhapki Bhi Aati Hai To Neend Nahi Aati. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Faisle Sa Hun... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---फैसले सा हूँ--- मेरे फैसले का इन्तेज़ार मेरे खुद को है सब्रे शिद्दत से परेशां सा हूँ | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Faisle Sa Hun--- Mere Faisle Ka Intezaar Mere Khud Ko Hai Sabre Shiddat Se Pareshan Sa Hun. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Shakle Akhtiyaar Se Pehle... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---शक्लें अख्तियार से पहले--- शक्लें अख्तियार है तेरी वजाहिर आईने में तू इस आईने के मुक़ाबिल मत रख किरदार को देख शक्लें-आईने से पहले | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Shakle Akhtiyaar Se Pehle--- Shakle Akhtiyaar Hai Teri Wajahir Aaine Me Tu Is Aaine Ke Muqabil Mat Rakh Kirdaar Ko Dekh Shakle-Aaine Se Pehle. Meri Kalam Se..  By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Beintehaai Rehne Do... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---बेइन्तेहाई रहने दो--- बेइन्तेहाई है सब्रो शिद्दत में ऐ जहां वालो इसे पुरखुलूस सब्र से रहने दो | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Beintehaai Rehne Do--- Beintehaai Hai Sabro Shiddat Me Ae Jahan Walo Ise Purkhuloos Sabr Se Rehne Do. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Meri Tarbiyat Mere Apno Ne... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मेरी तरबियत मेरे अपनों ने--- मेरी तरबियत क्या है कैसी है इसका हवाला मत दो मैं काबिले एहतराम हूँ अपने वालिदेन मोहतरम का मुझे वख्शी है खुदा ने तालीम मेरा हौसला रखा है मेरे अपनों ने | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Meri Tarbiyat Mere Apno Ne--- Meri Tarbiyat Kya Hai Kaisi Hai Iska Hawala Mat Do Main Kaabile Ehtraam Hun Apne Waaliden Mohtram Ka Mujhe Vakhshi Hai Khuda Ne Taleem Mera Hausla Rakha Hai Mere Apno Ne. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com 

Is Kadr Nahi Lage... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---इस कद्र नहीं लगे--- इस कद्र की कद्र करते-करते जमाना बीत गया और पता भी नहीं लगा | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Is Kadr Nahi Lage--- Is Kadr Ki Kadr Karte-Karte Zamaana Beet Gaya Aur Pataa Bhi Nahi Laga. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Jo Nibhana Padta Hai... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---जो निभाना पड़ता है--- ये जो नहर का बहता पानी है इक किरदार सा है बहते-बहते भी नहर को नदी का किरदार निभाना पड़ता है | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Jo Nibhana Padta Hai--- Ye Jo Nehar Ka Behta Paani Hai Ik Kirdaar Sa Hai Behte-Behte Bhi Nehar Ko Nadi Ka Kirdaar Nibhana Padta Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Ik Paheli Me Mubtilaa Hai... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---इक पहेली में मुबतिला है--- इक पहेली की तरह हो गया है मेरा वजूद पहल के रहते भी पहेली में मुबतिला है | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Ik Paheli Me Mubtilaa--- Ik Paheli Ki Tarah Ho Gaya Hai Mera Wajood Pehal Ke Rehte Bhi Paheli Me Mubtilaa Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Ae Naseeb Chalna Seekha... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---ऐ नसीब चलना सीखा--- ऐ नसीब के पाने वाले इतना इतराता क्यूँ है बुलन्दी पर तू पहुँचा है नसीब चलते घूमा अगर नसीब का पहिया रुकेगा आकर वहीँ पे जहाँ से चलना सीखा है | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Ae Naseeb Chalna Seekha--- Ae Naseeb Ke Paane Waale Itna Itraata Kyun Hai Bulandi Par Tu Pahuncha Hai Naseeb Ke Chalte Ghuma Agar Naseeb Ka Pahiya Rukega Aagar Wahin Pe Jahan Se Chalna Seekha Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Shaakh Pe... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---शाख पे--- मैं तेरी शाख पे बैठा रहा परिन्दे की मनिन्द पर उड़ना भूल गया गिज़ाये शौक को ले के | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Shaakh Pe--- Main Teri Shaakh Pe Baitha Raha Parinde Ki Manind Par Udna Bhool Gaya Gizaaye Shauk Ko Le Ke. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Main Jis Bhi... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---मैं जिस भी--- मैं जिस राहे मन्ज़िल  पे हूँ वह अलग ही है  खुद में वगरना  मन्ज़िले और भी है |  मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Main Jis Bhi--- Main Jis Raahe Manzil Pe Hun Woh Alag Hi Hai Khud Me Wagarna Manizile Aur Bhi Hai. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com

Bachkaaniyan... Shayri... (Meri Kalam Se...)

Image
---बचकानियां--- बच्चों की बचकानियां पहचान लो वरना कहीं आइना दिल का चूर-चूर न हो जाये | मेरी कलम से...  --------------- --------------- ---Bachkaaniyan--- Bacchon Ki Bachkaaniyan Pehchaan Lo Warna Kahin Aaina Dil Ka Choor-Choor Na Ho Jaye. Meri Kalam Se... By- Suhail Anwar suhailanwar911@gmail.com